Shivratri

Shiv Chalisa and Aarti

Home
Shivratri Rituals
Legends Of Lord Shiva
Shiv Chalisa and Aarti

Back To Shivratri Page

Site with translation of Chalisa & Aarti

Link To Site With Audio For Aarti

Another Link With Audio For Aarti

Shiv Chalisa:

Jai Ganesh Girija suvan, mangal mool sujan,
Kahati Ayodhyadas tum, deu abhaya vardan.

Jai Girijapati deen dayala,
Sada karat santan pratipala.

Bhal chandrama sohati neeke,
Kanan kundal nag phani ke.

Ang gaur shiv ganga banai,
Mundamal tan kshar lagai.

Vastra khal baghambar sohe,
Chhavi ko dekh nag muni mohe.

Maina Matu ki priya dulari,
Bam ang rajat Shiv pyari.

Kar men soha trishul ati bhari,
Karahi sada shatrun samhari.

Nandi Ganesh soh tanha kaise,
Manas madhya kamal hon jaise.

Kartik shyam aur gana rauo,
Ya chhavi barnat bane na kauo.

Devan jab hee aai pukara,
Tabahin dukh prabhu ap nivara.

Keen upadrava tarak bhari,
devan sab mili tumhari pukari.

Turat shadanan ap pathayo,
Luv nimesh mahi mar girayo.

Ap Jallandhar asur sanhara,
Suyash tumhar vidit sansara.

Tripurasur sang yuddha machayi,
sabahin kripa kari leen bachayi.

Keenha tap Bhagirath bhari,
Purahi pratigya tasu purari.

Darpa chhod Ganga tab ayee,
Sewak astuti karat sadaee.

Ved naam mahima tav gayaee,
akath anadi bhed nahin payee.

Pragati udadhi manthan te jwala,
Jare surasur bhaye bihala.

Mahadeva tab kari sahayee,
Neelkantha tuv nam dharayee.

Poojan Ramchandra jab keenha,
Lanka jeet Vibhishan deenha.

Sahas kamal arpanahi vichari,
Keenha pareeksha tabahi purari.

Ek kamal Prabhu rakheu goyee,
Kamal nayan poojan chahin soyee.

Kathin bhakti dekhi Prabhu Shankar,
Bhaye prasanna deya icchhit var.

Jai Jai Jai, Ananta Avinasi,
Karat kripa sab ke ghatvasi.

Dushta sakal mohi nitya satavan,
Bharmita rahe man chain na aven.

Trahi trahi main nath pukaro,
Yeh avasar mohi, ani ubaro.

Lai trishool shatrun ko marau,
Sankat se mohi ani unarau.

Mata pita bhrat sab hoi,
Sankat mein poonchat nahi koi.

Swami ekahi aas tumhari,
Ai harahu sab sankat bhari.

Dhan nirdhan kon det sadaee,
Arat jan ki peer mitaee.

Astuti kehi vidhi karahu tumhari,
Shambunath ab tek hamari.

Shanker ho sankat ke nashan,
Vighna vinasan mangal karan.

Yogi yathi muni dhyan lagaye,
Sharad Narad Sheesh navavahin.

Namo namo jab namah Shivaye,
Sur brahmadik par na paye.

Jo yeh path kare man layee,
To kon hot hain shamboo sahayee.

Putra na ho, ichha kare koi,
Nishchaya Shiv prasad se hoi.

Pandit triyodashi ko lave,
Dhyan poorvak hom karave.

Triyodashi vrita kare hamesha,
Tan nahi take rahe kalesha.

Dhoop deep naivedya chadhavahi,
Shanker sanmukha path karavahi.

Janam Janam ki pap nasavahin,
Antawas shivpur men pavahin.

Hey Shankar hai aas tumhari,
Dukh peera ab harahu hamari.

Aarti:

Jai Shiv Onkara Har Shiv Onkara,
Brahma Vishnu Sadashiv Arddhagni Dhara.

Ekanan Chaturanan Panchanan Rajai,
Hansanan Garudasan Vrishvahan Sajai. Jai...

Do Bhuj Char Chaturbhuj Das Bhuj Te Sohai,
Tinon Roop Nirakhta Tribhuvan Jan Mohai. Jai ....

Akshaymala Vanmala Mundmala Dhari,
Chadan Mrigmad Sohai Bhale Shashi Dhari. Jai ....

Shvetambar Pitambar Baghambar Ange,
Sankadik Brahmadik Bhootadik Sange. Jai .....

Kar Men Shreshth Kamandalu Chakra
Trishooldharta,
Jagkarta Jagharta Jag Palankarta. Jai .....

Brahma Vishnu Sadashiv Janat Aviveka,
Pranvakshar Ke Madhye Yah Tinon Eka. Jai ....

Trigun Shiv Ki Aarti Jo Koi Nar Gave,
Kahat Shivanand Swami Manvanchhit Phal Pave. Jai ....